Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Blog Kya Hai

 Hello Dosto.....

                         Jesa Ki Apko Pta Hai Ki Log Aaj Kal Paise Kamane Ke Tarike Search Karte Rahte Hai "Online Paise Kese Kamaye " Ya "Google Se Paise Kese Kamaye" Aaj Me Batauga Apko Ki Blogger Se Paise Kese Kamaye , Jaise Ki Apko Pichli Post Me Bataya Tha Ki Online Paise Kamane Ke 2 Do Ache Plateform Hai Youtube Or Blogger. Aap Humari "Youtube Se Paise Kese Kamaye" Pichli Post Dekh Sakte Hai. Abhi Baat Karege Blogger Se Kese Kamaye.

APKE PASS KYA KYA HONA CHAHIYE

Sabse Pahle Me Apko Btana Chahuga Ki Online Paise Kamane Ke Liye Khud Me Patiences Hona Bahut Zaruri Hai, Koi Bhi Kaam Jaldi Se Nahi Hota Thoda Time To Lagta Hi Hai, Or Ishi Ke Sath Sath Apko Typing Aani Chahiye Jishse Aap Artical Type Kar Sake Zaruri Nahi Ki Aap Ko Hindi Ki Typing Aani Chahiye Artical Aap English Ya Hindi Me Bhi Type Kar Sakte Hai. Or Photo Edit Karna Aana Chaiye App Jo Artical Type Karege Use Unik Banane Ke Liye Picture Ya Photo Upload Kar Sakte Hai. Real And Fack Pahchan Ki Jankari Bhi Honi Bahut Zaruri Hai.


BLOGGER KYA HAI

Blogger Par Aap Ek Bhi Paisa Kharch Kiye Bina Ek Profesional Blog Start Kar Sakte Hai,Or Blog Se Aap Asaani Se Paise Kama Sakte Hai, Pahle Apko Ek Blog Setup Karna Hoga Ushke Baad Apko 20 Se 25 Unik Artical Apne Blogger Account Se Publish Karne Hoge, Jab Apke Blog Par Trafic Aane Start Ho Jaye To Ushke Baad Apko Google Adsense Ke Liye Apna Blog Submit Karna Hoga. Blog Submit Hone Ke Baad Apko Google Adsense Ki Traraf Se Approval Mil Jayega Or Apke Blog  Par Add Aane Start Ho Jayege Or Aap Asaani Se Paise Kama Sakte Hai.

BLOGGER KESE START KARE

Blogger Start Karne Ke Liye Apko Blogger.Com Par Aana Hoga, Ishke Baad Creat Your Blog Par Click Karke Apni Gmail Id Choose Kare Jishse Aap Blogger Bnana Chahte He. Gmail Id Choose Karne Ke Baad Password Dal Ke Login Hone Par Apka Samne Pahla Option Choose A Name For Your Blog Hoga Jo Soch Samjh Kar Or Unik Name De. Dushra Option Apke Samne Hoga Choose A Url For Your Blog Iske Baad Next Option Hoga Confirm Your Display Name Or Apka Blogger Account Creat Ho Jayega Ab Apka Blogger Account Ready Hai.


PAISE KAMANA START KARE

Blogger Account Creat Hone Ke Baad Kuch Setting Apko Apne Hisab Se Set Kar Leni Hai, Or Theme Bhi Apko Set Kar Leni Hai. Blogger Setup Kar Lene Ke Baad Apko Artical Type Karna Hoga Jo Aap Publish Kar Sake Artical Aap Hindi Ya English Me Bhi Type Kar Sakte Hai, Artical Complete Karne Ke Baad Aap Artical Me Picture Ya Photo Bhi Dal De Jishse Apka Artical Or Bhi Unik Lage Fir Apne Artical Ko Publish Kar De.

                                                    Har Din  Apki Koshish Honi Chahiye Ki Kam Se Kam 1 Ya 2 Artical Zarur Type Kare Or Apne Blogger Account Se Publish Kare Esa Karne Se Apke Blogger Par Zyada Trafic Aane Start Ho Jayege. Jab Apke Blog Par Trafic Aane Start Ho Jaye Fir Aap Google Adsense Ke Liye Apne Blog Ko Submit Kar De Submit Karne Ke Baad Apko Google Adsense Ki Taraf Se Approval Mil Jayega Approval Milte Hi Apke Blog Par Add Aane Start Ho Jayege Or Inhi Add Ke Chalte Apko Google Adsense Apko Paise Dega To Is Tarah Aap Blogger Account Se Paise Kama Sakte Hai....

Dosto Aaj Humne Blogger Ke Bare Me Baat Ki, Ki Blogger Se Paise Kese Kamaye Ya Google Adsense Se Paise Kese Kamaye. Me Asha Karta Hu Apko Humari Post Achi Lagi Hogi Or Humari Ye Post Apke Helpfull Rahi Hogi, To Apne Dosto Ke Sath Share Kare Ager Koi Samsya Ho To Comment Zarur Kare..... Thank You

 

                                                     


PM Vidyalakshmi Yojna : अब सरकार देगी पढ़ाई के लिए पैसा ! कैसे उठा सकते हैं लाभ जानिए हिंदी में ?